Sunday, November 6, 2011

Zindagi

Ho agar aasaan samajhna zindagi
toh batadena mujhe....
Neend aksar nahi aati

mujhe is uljhan me...

Khuli zameen, Khula aasmaan
Is thandi hawa me,
lehrati pattiyaan

Yeh neela samundar, Yeh shaffaaf paani
jisme doobkar phir udhne ko mann karta hai

Haan jab bhi dekhta hoon
main yeh samaan,
khuljaate hain pankh
nikalte hain saare armaan...

ab udhne chala hoon main
ab apne aap ko bhulane chala hoon main
bas hawa se baatein karne ka mann karta hai

....aur bulaata hai jab yeh aasmaan
bhool jaata hoon apna aashiyaan

Dil Shikni


Ruk gaya haath, sookh gaya qalam
Band hogayi Zubaan, toot gaya bharam
Tum hua jo karte the tasawwur mein mere,
Kya ho tum wohi dost mere?

- Fahad Mohammed

Ek Ehsaas


Poochta hun main is waqt se
kyun rukta nahi hai tu?

darya k paani ki tarah
Kyun behta nikal jaata hai tu?

darya k paani ko toh 
phir bhi roka ja sakta hai

Kaise tujhe, aye Waqt!
roka jaye?

Kaise is pal ko
thama jaye?

Kyun tu, ay Waqt!
sab kaat ta chala jaata hai?

kyun mujhe mere
saath walon k saath 
rehne nahi deta?

kyun mujhe unhe
saath me lejane nahi deta?

aakhir kyun unhe
mujhse khareeb karta hai,
agar tujhe unhe
mujhse karna hi tha juda.??


Waqt poochta hai mujhse
tujhe kyun rokna hai is pal ko?

Aakhir kyun tu, ay Insaan!
chalne se katrata hai mere saath?
kyun aage badhne se ruk jaata hai?

kya shai tujhe rokti hai,
karti hai tujhe bechain?

tu mujhse poochta hai, Ay insaan!
kyun main nahi rukta,
k kyun sabko kaat ta 
aage badhjaata hun,
k kyun nahi sabko
saath lekar chalta hun,
k kyun nahi tujhe
saath apne sabko lejana deta hun....

Tujhe kya lagta hai
tere saath hona hi,
saath me hona hai?

tujhse jismaani taur par 
door karna hi
tere saath walon ko 
tere khareeb karna hai...

tu bata, ay Insaan!
kya tu aaya tha yahan
sabke saath??

Phir toh kyun rota hai?

Kya nahi diya tujhe
jinko tu ab nahi 
chadtha chodhna

jinke liye tu mujhse
karta hai sawaal...

bas yehi Zindagi hai
tera waqt hi teri zindagi hai
tu use ya woh tujhe 
kaise jayega chodhkar!

jitna hai waqt tera,
utni hi hai teri saansein

bas itna yaad rahe
jo tu chodhe jayega 
tere saath walo k saath
wohi tujhe milega
tera waqt khatm hone k baad!


Waqt na ruka hai kisi k liye
na kiya hai kisi ka intezaar
tu hi samajh baithta hai
k hai aur shaamein baaki

haan yeh hua mujhe ehsaas...

Waqt na ruka hai kisi k liye
na kiya hai kisi ka intezaar
hum hi samajhe baithe
ki hai shaamein aur baaki